Awami national party k sarbarah Asfandyar Wali Khan Khyber Pakhtunkhwa k ilaqe char shadda k qasbe Shahi Bagh mein 19 February 1949 ko paida huye Woh maaruf siasat dan aur Pakhtoon Qom parast Khan Abdul Wali Khan k farzand aur Khan Abdul Ghaffar Khan jinhein sarhadi Gandhi bhi kaha jata tha ke pote hain. Asfandyar Wali Khan ne ibtadayi taleem Islamia Collegiate School aur Aitchison College, Lahore aur Peshawar University se hasil ki. Asfandyar Wali Khan apni madri zuban Pashto k elawa Urdu aur English par bhi oboor rakhte hain. |
Asfand Yar Wali ko giraftar kar lia gia. 1988 mein degar siasi qaidiyon k sath jail se reha huye aur NDP mein shamolyat ikhtiyar karli. 1988 mein NDP aur baaz degar choti jamaiton k inzamam se Awami National Party (ANP) qaim ki gayi. Wali khan khandan ne General Zia ki aamriyat k khatme k liye kayi baras tak chlne wali “Tehreek Bahali Jamhooryat” mein bhi sar garam hissah lia. In k Parlimani Siasat k dor ka aaghaz 1990 se hua, jb woh pehli bar sarhad assembly k rukun muntakhab huye. 1993 mein woh Qomi Assembly k rukun muntakhab huye. 1997 k intekhabat mein bhi woh aik nishisht par kaam yab huye 2003 mein 6 salah muddat k liye woh Senate k rukun muntakhab huye. 2008 k intekhabat mein woh teesri bar rukun Qomi Assembly muntakhab huye. 2008 k intekhabat mein in ki zer qayadat ANP ne qabil e zikar kaam yabi hasil ki. Woh char sadda 1 k halqe NA -7 se rukun qomi assembly muntakhab huye. In ki qiyadat mein ANP ko subayi satah par itni nashishtein hasil huyi keh woh Kheibar Pakhtoon khaw mein apni hokumat takhskeel dene mein kaam yab ho gaye.
Pakhtoon qom parast hone k nate woh hameshah subayi khood mukhtari ki jad o jahad karte rahe inhon ne sube ka naam shumali maghrabi subah sarhad se tabdil kar k Pakhtoon Khaw rakhne k liye taweel jad o jahd ki. Awami National Party ne 2009 k doran sawat mein kiye gaye foji operation ki himayat ki. Woh Kalabagh Dam k sakht naqdeen mein shumar kiye jate hain.
2008-2013 Asfandyar Wali Khan Qomi Assembly ki qaima comity baraye kharjah amoor k chairman bhi rahe. Asfandyar Wali Khan pehli bar 1999 mein ANP k qaid muntakhab huye is k baad se party sar barah k liye hone wale tamam intekhabat mein wahi badastoor muntakhab hote rahe hain. ANP k dakhli muamlaat par mazboot giraft rakhne wale Asfandyar Wali Khan ne abhi hal tak qaim rehne wali makhloot hokumat mein bator ittehadi jamayat Pakistan people’s party aur sadar Asif Ali Zardari ki khul kar himayat ki.
In ki jamayat ka falsafana nazaryat ki bunyad liberal azm subayi khood mukhtari aur Pakhtoon Qom parsti par istewar hain. Tahum guzashta 8 barson k doran, Asfandyar Wali Khan ne ise dehshat gardi aur dehshat gar anasir ki mukhalfat tak to see di hai. Talban askaryt psand on ne ANP k sar karda rah numaon par jan lewa hamle kiye. Jin mein aala qayadat jaan bahaq huyi. Khood Asfandyar Wali Khan khood kash hamle mein baal baal bache. In ki hamshirah aur maaroof surgeon doctor August 2010 mein Peshawar mein kiye gaye qatlana hamle mein zakhmi ho gayi thin.
Tags: asfandyar wali khan, asfandyar wali khan biography, anp asfandyar wali khan, anp manifesto in urdu, life history
No comments:
Post a Comment